Phir mein ne Dekha ek khwaab, mere future ke baare mein. Jhil mil sitaaron ka aangan hoga, kahin toh hoga jo mere liye bana hai. Kahin kisi roz mujhse milega.
Ek din mera Parichay-nayee zindagi ke sapno ka, anant se hua. Kuch hi dino mein won Bade achhe lagne lage. Na bole tum na mein ne kuch kaha. Samajh mein nahin aa raha tha Is pyaar ko kya naam dun. Bas mann yeh keh raha tha Sajda tere pyaar mein
.
Hamara Shubh vivah, gharwalo ke sammati se hua. Ek chutki Kumkum ne hamare rishte ko Pavitra rishta bana diya. MeinMrs.Kaushik ke paanch bahuvon ke Kutumb ki Choti bahu ban gayi. Sabne Dil se di dua-Saubhagyavatibhav. Mera Sasural genda phool tha.
Ek din pata chala ki mere kundali mein Saans bina sasural hai. Mere naam badalna hi iska upay tha. Yeh sunke meri saas ne socha Kuch toh log kahenge aur mere naam badalne ka nirnay liya, Kyunki saans bhi kabhi bahu thi. Mein ne anant se kaha Tujh sang preet lagayi sajana..saathiya saath nibhana. Usne kaha hum Diya aur baati hain, mein tumhare saath hun.
Apne maa ke aage anant ki kuch na chali. Mein ne pucha Kya hua tera vaada..koi jawaab na aaya. Mein Rishton ke bhawar mein uljhi- niyati ban gayi. Humne bhi shapath li hai, ki hum phir se Navya banke rahenge. Sasural mein na sahi, Dance India Dance mein Navya banke jaayenge.
Zindagi kahi - smile please!. After all yeh toh Kahani ghar ghar ki..hai. (lol)
Hmm....I guess many of you can connect to this post. (directly or indirectly....u know wat i mean ;))
Once I was a fulltime follower of ekta kapoor's K series.......for few years I was away from all these soaps. Now that I follow some, felt nostalgic about past and here I am with this post :) (Times of India TV schedule table helped me with many serial names to frame this story.)
However fancy, fantasizing, modern today's serials may be, the memories which serials like 'Mahabharat', 'Malgudi days', 'Vyomkesh bhakshi', 'Mirza Ghalib', 'Tehkikat'.......etc....have left in us are unforgettable. :) Otherwise aaj kal ke serials ki baat aisi hai ki, heroine ko match stick scratch karke stove jalane mein ek mahina lag jata hai :-P